Wednesday, April 10, 2013

Guzre din

Woh roj school se aana
Fir galliyon mein adda jamana
Woh padosi ke Khadus aunty ki deewar
Woh aate jaate rickshaw pe hojana sawaar
Woh curfew wale din
Jab cricket mein sab bante sachin
Chura kar late the padosi ke amrudh aur aam
Aur dekh kar koi kehta "yeh aaj ke bachche, ram ram ram" ;)
Woh galli mein khidki se hote ishaare
Aur jab phut te the hasi ke phuware
Kya hasin yaadein hai kya hasin the woh din
Jaane kahan gaye woh galliyan
Jaane kahan gaye woh log
Kahin aisa toh nahi ki badal gayi galliyan aur badal gaye humlog!

No comments:

Post a Comment